Paanch Sach, Jo Koi Chai Brand Nahi Batata
Aap phal aur sabzi hamesha taazi chunte hain. Lekin chai? Wahi patti jo mahino pehle todi gayi thi. Yeh paanch sach jaan lijiye.
Patti Bhi Sabzi Ki Tarah Purani Hoti Hai
Jaise todne ke baad phal har din apni taazgi khota hai, waise hi chai patti. Jitni der shelf pe, utna swaad hawa mein.
Purani Patti Ka Cup Feeka Hota Hai
Udta hua aroma, halka rang, aur woh kadak feel gayab. Jo chai aap roz peete hain, woh apni asli jaan bahut pehle chhod chuki hai.
Baasi Patti = Zyada Cheeni
Feeke swaad ko theek karne ke liye haath apne aap cheeni ki taraf jaata hai. Taazi patti mein apni kudrati meethas hoti hai, cheeni kam lagti hai.
Taazi Patti, Gehra Cup
Fresh patti se rang gehra banta hai, aroma poora khilta hai, aur kam patti mein zyada kadak cup. Farak pehli boil mein hi dikh jaata hai.
Beech Mein Koi Warehouse Nahi
Raasa garden se seedha aapke ghar aati hai. Na mahino ka storage, na beech ke paanch haath. Jaise mandi se taazi sabzi, waise garden se taazi patti.
Isliye agli baar chai khareedte waqt sirf ek sawaal poochiye:
"Yeh patti kitni taazi hai?"
